Песня: Тема Арнава и Кхуши (глава вторая)
Добавлено: 2015-12-13
Продолжительность mp3: 06:03
Автор: Iss Pyaar Ko Kya Naam Doon?
Текст этой песни просмотрели: 605
Голосование за песню: 0
Anjaane ho tum, jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun
Tum gehri neendon me jab soye soye ho
Toh mujhme jagte ho kyun
Jab tujhko paata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Kya tujh me dhoondu main
Kya tujh se chaahu main
Kya kya hai tujhme mera
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu lagaa..
Tujhse taalluk jo nahi kuch mera
Kyun tu lage hai apana saa
Dekhu jo tujhko ik nazar
Jaaye bhar mujhme hai mera jo khala
Zindagi me khushi tere aane se hai
Warna jeene mein gham, har bahane se hai
Hai yeh alag baat hai hum mile aaj hain
Dil tujhe jaanata ik zamaane se hai
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Aankhon ne aankhon se kahi daastaan
Tumko banake raazdaan
Baahon me jannat aa gayi khushnumaa
Tum jo huye ho mehrbaan
Jism se jism ka yun taaruf huaa
Ho gaye hum sanam rooh tak aashna
Ek zara jo chale do kadam saath me
Mill gaya hai hume zindagi ka pata
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga
Anjaane ho tum, jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun
Tum gehri neendon me jab soye soye ho
Toh mujhme jagte ho kyun
Jab tujhko paata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Kya tujh me dhoondu main
Kya tujh se chaahu main
Kya kya hai tujhme mera
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu lagaa..
Jaanu na main tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu laga